Sunday, June 8, 2008

Hindi Proverb / Folk Quotations

1. Aadhi Chhod Poori Ko Dhawe, Aadhi Rahe Na Poori Pawe
2. Aam Ke Aam Gudhliyon Ke Daam
3. Aam Khao Ped Na Gino
4. Aankh Ke Andhe Naam Nain Sukh
5. Aap Bhala To Jag Bhala
6. Aasman Se Tapka Khajoor Main Atka
7. Ab Aaya Oont Pahaar Ke Neeche
8. Ab Pachhtaye Kya Hot Jab Chidiya Chug Gai Khet
9. Adhjal Gagri Chhalkat Jaai
10. Akela Chana Bhaad Nahin Phod Sakta
11. Allah Ki Lathi Mein Awaaz Nahin Hoti
12. Andhe Ka Teer Batode Main
13. Andhe Ke Hath Bater
14. Andher Nagri Chaupat Raja
15. Andhon Mein Kaanaa Raajaa
16. Anta Bhala To Sab Bhala
17. Apna Haath Jagannath
18. Apna Kaam Maha Kaam
19. Baghal Mein Chor Shahar Mein Shor (Dhindora)
20. Bandar Kabhi Gulati Marna Nahin Boohlta
21. Bandar Ke Haath Lagi Haldi, Khud Ko Pansaari Samajh Baitha
22. Bandar Kya Jaane Adrak Ka Swad
23. Begaani Shaadi Mein Abdullah Deewana
24. Bhagwaan Jab Deta Hai To Chhappar Phad Ke Deta Hai
25. Bhains Ke Aage Been Bajana
26. Billi Bhaagon Jheenka Toota
27. Boodhi Ghodi Laal Lagaam
28. Chand Pe Thooka, Apne Hi Munh Pe Gira
29. Char Din Kee Chandni Phir Andheri Raat
30. Chirag (Diye) Tale Andhera
31. Chor Chor Mausere Bhai
32. Chor Chori Se Jaaye Hera Pheri Se Naa Jaai
33. Chor Ki Dhari Mein Tinka
34. Chupdi Aur Do Do
35. Deewaron Ke Bhi Kaan Hote Hain
36. Dhobi Ka Kutta, Ghar Ka Naa Ghat Ka
37. Dhodh Ka Dhula Hona
38. Doodh Ka Doodha Paani Ka Paani
39. Door Ke Dhol Suhaane
40. Ek Anaar Sau Bimaar
41. Ek Haath Se Taali Nahin Bajti
42. Ek Jhoot Sau Ke Barabar Hota Hai
43. Ek Myan Mein Do Talwaren Nahin Rahtin
44. Ek Teer Say Doo Shikaar
45. Gadhe Ne Gadhe Ko Khujaya Turat Ke Turat Badla Paaya
46. Gagar Mein Sagar Nahin Bhara Ja Sakta
47. Gehoo(N) Ke Saath Ghun Bhi Pista Hai
48. Ghar Ka Bhedi Lanka Dhaye
49. Ghar Ka Jogi Jogna, Aan Gaon Ka Siddh
50. Ghar Ki Murgi Daal Barabar
51. Ghar Mein Nahin Daane Amma Chali Bhunane
52. Ghiste Ghiste To Patthar Bhi Gol Ho Jata Hai
53. Hath Kangan Ko Aarsee Kya
54. Illat Ayi Gai, Aadat Dam Ke Sath
55. Jaan Bachi To Laakho Paai Laaut Ke Budhu Ghar Ko Aai
56. Jaan Hai To Jahan Hai
57. Jab Geedarr Ki Maut Aati To Woh Shahar Ki Taraf Bhagta Hai
58. Jab Laxmi Tilak Karti Ho, Tab Muh Dhone Nahi Jana Chahiye
59. Jahan Chaah Wahan Raah
60. Jaisi Karni Waisi Bharni
61. Jako Rakhe Saiyan Maar Sake Na Koi
62. Jal Mein Rehe Magar Se Bair
63. Jis Ghar Mein Beri Hoti Hai Wahan Dale Aate Hi Hain
64. Jis Ki Lathi Usi Ki Bhains
65. Jitni Lambi Chaadar, Utnay Hee Paanv Pasaariye
66. Jo Boyega Wohi Katega
67. Jo Garajte Hain Woh Baraste Nahin Hain
68. Jo Sowat Hai Woh Rowat Hai, Jo Jaagat Hai Woh Khawat Hai
69. Jungle Mein Mor Naachaa, Kisne Dekha
70. Kabootar Ke Aankh Moondne Se Billi Nahin Chali Jati
71. Kala Akshar Bheins Barabar
72. Karela Aur Neem Chadha
73. Kawwa Chala Hans Ki Chaal Apni Bhi Bhul Gaya
74. Khali Dimag Shaitaan Ka Ghar
75. Khali Se Bigaar Bhali
76. Kharbooza Ko Dekhkar Kharbooze Rang Badlta Hai
77. Khisiyani Billi Khamba Noche
78. Khoda Pahar Nikli Chuhiya
79. Khudaa Meherban Tho Gadha Pehelwan
80. Koile Ki Dalali Mein Haath Kaale
81. Kumhar Phooti Me Hi Khata Hai
82. Kutte Kee Poonch Ko 12 Saal Nalki Main Daloge To Bhi Seedhi Nahin Hogi
83. Man Changa Toe Kathua May Ganga
84. Marey Bina Swarg Nahi Milta
85. Marey-hue Dada Ki Badi Badi Aankha
86. Mullah Ki Daud Masjid Tak
87. Munh Se Nikli Baat Aur Kamaan Se Nilka Teer Howe
88. Na Nau Man Tel Hoga, Na Radha Nachegi
89. Naach Na Jaane Aangan Teda
90. Nahaye Ke Baal Aur Khaye Ke Gaal Alag Hi Deekhen
91. Naya Nau Din Purana Sau Din
92. Neem Hakeem Khatra-ye Jaan
93. Ochhe Ka Teetar, Bahar Bandhoon Ke Bheetar
94. Okhli Mein Sire Diya Mooslon Se Kya Dar
95. Oonchi Dukan Pheka Pakwaan
96. Oont Ke Munh Mein Zeera
97. Paanchon Ungliyan Barabar Nahin Hotin
98. Panchon Ghee Main Tar
99. Raam Raam Japna Paraya Maal Apna
100. Raam Raam Japne Se Raam Nahin Milta
101. Ramraj Mein Doodh Mila, Aur Kishan Raj Ma Ghee, Indira Raj Ma Chai Milee, Too Phoonk Mar Ke Pee
102. Rassi Jal Gai Par Bal Nahin Gaya
103. Saanch Barabar Tap Nahin Jhoot Barabar Paap
104. Saanch Ko Aanch Nahin
105. Saawan Ke Andhe Ko Sab Hara Hara Dikhta Hai
106. Sab Hara Hara, Maine Kya Chara
107. Sar Salamat, To Pagdi Hazaar
108. Sasta Roye Baar Baar, Mahanga Roye Ek Baar
109. Sau Sau Choohey Khakar Billi Hajj Ko Chali
110. Shaitan Ka Naam Liya Shaitan Haazir (Lahaul Padhi Shaitan Ghaib)
111. Shak Ka Elaaj Tu Hakeem Luqman Kay Pass Bhi Nien Tha
112. Sir Mundate Hi Ole Pade
113. So Sunar Ki, Ek Luhar Ki
114. Sooth Na Kapaas, Julahon Mein Laatha Laathi
115. Thaali Ka Baingan, Kabhi Idhar Kabhi Udhar
116. Thali Baniya Kya Kare, Is Khutle Ka Maal Us Mein Kare
117. Ulta Chor Kotwal Ko Daante
118. Waqt Waqt Ki Baat, Kabhi Ka Din Bada Kabhi Ki Raat

4 comments:

ASIF said...

IT IS VERY NICE ATTEMPT TO PROVIDE USABLE THING TO THE NEEDY.

THANKS.

ASIF ALI

veena said...

बहुत खूब , बचपन में सुने व् पढ़े मुहावरों की
पुनरावृति हो गयी .
मंगल शुभ -कामनायों सहित
वीणा

Anonymous said...

Lucky Club - Play Online Casino at LuckyClub Live
LuckyClub is a Live Casino Games provider that also offers its own unique game experience. Our brand of games 카지노사이트luckclub and the collection of welcome bonuses for all

waladaebach said...

The Wynn & Encore Casino - Mapyro
The Wynn & 나주 출장마사지 Encore casino 서울특별 출장마사지 resort 전주 출장마사지 is an 김제 출장안마 international hotel and destination destination situated in Las Vegas, Nevada. The resort offers 부천 출장안마